Tum Nahi Kehte Par Main Samajhti Hu - Neha Sahu

Tum Nahi Kehte Par Main Samajhti Hu Neha Sahu (Poetry / Kavita / Shayari) (Poem / Kavita / Shayari) Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords Like us on Facebook : ( Baatien_Kuch_Ankahi_Si ) January | February | March | April | May Poem Collection Main samajhti hu tumhara wo hissa bhi, Jo mujhse juda hota hai. Har waqt na sahi par kuch palo me, Mera khyal to hota hai. Zamane ke liye tum kya honge, Ye sawal nahi mera jawab hota hai. Nahi kehti ke sab pata hai mujhe, Kehti hu mujhse chupa hi kya hota hai. Jaanti hu tumhare dil ke har khyal, Tumhse jude har sawaal ko. Tumse juda ek hissa mera bhi hai, Suno, Tumse juda ek hissa mera bhi hai, Jiska apna hi ek kissa bhi hai. Tum nahi kehte par main samajhti hu. Ek nai si guzarish hai rishte ki, Kuch alag si shikayat bhi rakhte ho. Kehne se darte ho aur sehne me khafa ho. Samajhti hu tumhari har wafa ko, Aur uss se judi wajah ko. Tum nahi keht...