Main Theek Hu - Neha Sahu


Main Theek Hu
Neha Sahu 
(Poem / Kavita / Shyari)

(Poem / Kavita / Shayari)

www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi
Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords
Like us on Facebook : (Baatien_Kuch_Ankahi_Si)
January Edition | February Edition March Edition |
April Edition | May Edition | June Edition



Main Theek Hu

Haal puchega jab koi toh bol dungi
Main theek hu.

Seekha hai naya kuch, aur ussi hal mein theek hu.
Jaani kuch bate tumhari, Aur ussi halaat mein theek hu.

Kaho to bata hi du, iss lamhat mein kitni dheeth hun..
Dheeth hu Jo sah gai aur kuch na tumse keh gai.

Khush nahi hu, Na hi udas hu,
Bas itna jaano ke bahut behisab hu.

Sehla rahi hu khud ko, aur samjhane me bhut nayab hu.

Darasal tumse hi suni thi, Tumse hi kah rahi hu.
Kamal ho tum aise hi Tum bemisal ho.

Sach kahu, jhoot bhi nhi lag rha ye sab na hi ye sach hai...
Marzi tumhari hai, ya meri. Par ye bhi to ek waqt hai.

Suna hai guzar jaega ye bhi har waqt  ki tarah.
Intzar hai uss alam ka, jab ho jau main bhi beete alam ki tarah.

Samjhao mujhe koi to, kyo hu giraft mein kaid main.
Riha hi kardo ki bahut pareshan si hu.

Par such mano Main Theek Hu...
Bilkul theek hu.

Written by
NEHA SAHU
#BaatienKuchAnkahiSi



Our Other Blogs

I am In Books : www.iaminbooks.blogspot.com



www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi



Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Main Aisi Hi Hoon - Neha Sahu

Bebas Zindagi - Neha Sahu