Posts

Showing posts from March, 2018

Maayne Badal Rahe Hai - Neha Sahu

Image
Maayne Badal Rahe Hai By Neha Sahu  (Poem / Kavita / Shyari)  Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords Like us on Facebook : ( Baatien_Kuch_Ankahi_Si ) January  |  February  |  March  |  April  |  May Poem Collection Lehze badal rahe hai Baat karne ke humse, Kyo nahi kehte bhut paas ho dil ke. Baatien badhne ko hai mulakaatien badhne ko hai, Zindagi me hum dono ka sath badahne ko hai. Saath badal rahe hai, hath badal rahe hai, Zindagi jeene ke andaaz badal rahe hai. Kasme badal rahi hai, waade badal rahe hai, Fir kyo nahi kehte ki maayne badal rahe hai. Hum fisal rahe hai, tum sambhal rahe ho, Yu hi hum dono ke kal sawar rahe hai. Dil tahara hai,  baatien sambhali hai, Hum dono ki shyad raahe badli hai. Likhti hu main aur kalam tum bano, Mere har alfaaz ki wajah tum bano. Khaas ho tum dil ke, bhut paas ho tum, Lo maan liya meri Kaayanat ho tum. Shikwe nahi hai, kuch shikayate bhi khatam hai, Baaton ke bhi maayne kuch alag hai. Tum bada

Ja Rahi Hu - Neha Sahu

Image
Ja Rahi Hu By Neha Sahu (Poem / Kavita / Shayari) Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords Like us on Facebook : ( Baatien_Kuch_Ankahi_Si ) January  |  February  |  March  |  April  |  May Poem Collection Nai kahani likhne ja rahi hu, Kuch nai, kuch purani, kuch ruhani likhne ja rahi hu. Tum sambhaal lena khud ko apne aap hi, Kyoki main ek naya kissa bunne ja rahi hu. Chal rahi hu, suno chal rahi hu, Aur shyad ab chalti hi ja rahi hu. Kar rahi hu, kuch naye kaam bhi, Aur naye rishte jode ja rahi hu. Chupke-chupke apne dil ki baatien, Apne hi mann se kiye ja rahi hu. Keh dungi agar kuch hoga to tumse bhi aa kar, Lekin abhi bas sab sahe ja rahi hu. Waqt hua to milungi tumse bhi aa kar, Bas abhi Alvida kiye ja rahi hu.. Written by Neha Sahu #BaatienKuchAnkahiSi ++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ https://www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi/ Our Other Blogs www.TravelTechFUN.BlogSpot.com  ( Youtube ) ( F

Tum Nahi Kehte Par Main Samajhti Hu - Neha Sahu

Image
Tum Nahi Kehte Par Main Samajhti Hu Neha Sahu (Poetry / Kavita / Shayari)  (Poem / Kavita / Shayari) Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords Like us on Facebook : ( Baatien_Kuch_Ankahi_Si ) January  |  February  |  March  |  April  |  May Poem Collection Main samajhti hu tumhara wo hissa bhi, Jo mujhse juda hota hai. Har waqt na sahi par kuch palo me, Mera khyal to hota hai. Zamane ke liye tum kya honge, Ye sawal nahi mera jawab hota hai. Nahi kehti ke sab pata hai mujhe, Kehti hu mujhse chupa hi kya hota hai. Jaanti hu tumhare dil ke har khyal, Tumhse jude har sawaal ko. Tumse juda ek hissa mera bhi hai, Suno, Tumse juda ek hissa mera bhi hai, Jiska apna hi ek kissa bhi hai. Tum nahi kehte par main samajhti hu. Ek nai si guzarish hai rishte ki, Kuch alag si shikayat bhi rakhte ho. Kehne se darte ho aur sehne me khafa ho. Samajhti hu tumhari har wafa ko, Aur uss se judi wajah ko. Tum nahi kehte na hi kabhi kahoge Par main Samajhti hu..

Meri Kahani - Neha Sahu

Image
Meri Kahani Neha Sahu  (Poem / Kavita / Shayari) Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords Like us on Facebook : ( Baatien_Kuch_Ankahi_Si ) January  |  February  |  March  |  April  |  May Poem Collection Meri zindagi ke har lamhe me likhi hai meri kahani, Mere dil aur mere labo ki zubani. Meri zindagi ka har ek lamha mujhse hai kehta, Ab koi nahi hai teri zindagi me rehta. Ab na hai zarurat kisi ko teri iss duniya me, Ab ja kar saja le apna aashiana jannat ki duniya me. Meri zindagi ka har ek lamha dard bhara hai, Har ek lamhe me ek naya raaz chupa hai. Iss naye daur me na waqt samajh saka meri duniya ko, Umeed ki thi jis se, wo shaksh bhi na samajh saka meri duniya ko. Meri Aankhon ka har aansu, mujhse yahi kehta hai, Kon hai iski wajah kya dil me koi rehta hai. Kya jawab de saku main apni inn aankho ko, Kai jawab hai inme, sabhi ko batane ko. Zindagi me jo bhi chaha wo kabhi paya nahi, Par ab mera dil kuch bhi pana chahta nahi. Meri zindag

Main Aisi Hi Hoon - Neha Sahu

Image
Main Aisi Hi Hoon Neha Sahu  (Poem / Kavita / Shayari) Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords Like us on Facebook : ( Baatien_Kuch_Ankahi_Si ) January  |  February  |  March  |  April  |  May Poem Collection Kalam jab jab uthati hu, Dil ko bhut samjhati hu. Mana bhi leti hu khud ko, Aur agle hi pal fir rooth jati hu. Asal mein Aisi Hi Hoon Main. Mizaj bhi aise hi hai. Jinki baat nahi samajh pati, Unhe bhi bardast kar jati hu. Aankho ke pani se le kar mathe ki nishani tak, Sab duniya ki hi den hai, Ek aur tohfa samajhkar sab seh jati hoon. Darasal kuch khas nahi main tumhare liye, Phir bhi tumhari dhun me ram jati hoon. Seham jati hu galtiyo par apni, Phir wo galti kabhi nahi dohrati hoon. "Haqueekat Meri Mujhse Hi Anjaan Si Hai, Par Shyaad Yahi Meri Pehchaan Si Hai." Written by Neha Sahu www.FaceBook.com/BaatienKuchAnkahiSi ++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++ https://www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi/ Our Other Blogs www.T

Zindagi Nai Rahon Mein Hai by Neha Sahu

Image
Zindagi Nai Rahon Mein Hai Neha Sahu   (Poem / Kavita / Shayari) Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords Like us on Facebook : ( Baatien_Kuch_Ankahi_Si ) January  |  February  |  March  |  April  |  May Poem Collection Ek dard sa in Hawaon main hai, Shyad aaj koi aur unki baaho mein hai. Wo jagah jo maine khud ko di thi, Ab kisi aur ka hak unn Fizaaon me hai. Galatfehmi si lagti hai mujhko ye sab, Asar kuch zayada hi dishaon mein hai. Hath kisi ka tham liya hai tumne, Ya fir kuch aur hi fizaon mein hai. Tham na sake tum sirf mere hokar, Kuch to kahar wafaon mein hai. Mil rahe ho tum aaj kuch naye apno se, Shyad ab zindagi nai rahon me hai. written by  Neha Sahu 2018 January Edition  |  February Edition   |  March Edition  | April Edition  (Coming this April) https://www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi/ Our Other Blogs www.TravelTechFUN.BlogSpot.com  ( Youtube ) ( Facebook ) www.IAmInBooks.BlogSpot.com More to Read  Po

Darti nahi main Izhaar karne se - Neha Sahu

Image
Darti nahi main Izhaar karne se Neha Sahu  (Poem / Kavita / Shayari) Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords Like us on Facebook : ( Baatien_Kuch_Ankahi_Si ) January  |  February  |  March  |  April  |  May Poem Collection Darti nahi main Izhaar karne se, Darti nahi tumhe Payar karne se. Darr na hi tumhare hone ka hai, Darr na hi tumhe khone ka hai. Darr hai uss hasi Ehsaas ka, Darr hai uss alag Jazbaat ka. Darr hai tumhe pane ka, Darr hai tumse mil jane ka. Darr nahi tumhare Kareeb aane se, Darr hai tumse Durr jane se. Darr nahi hai apni Aankho se, Darr hai Dard ki aaho se. Darr nahi tumhari Chuan(Touch) se, Darr hai kal ki Birhan se. Darr nahi hai tumhe Apna banane ka, Darr hai tumhari ho kar Kho jane ka. Badi mishkil se khud ko Wapis paya hai, Har hisse par Darr ka saya hai. Darr nahi hai ye Payar hai mera, Ek tarfa hi sahi magar Izhaar hai mera. Darti nahi hu Izhaar karne se, Darti nahi hu tumhe Payar