Darti nahi main Izhaar karne se - Neha Sahu

Darti nahi main Izhaar karne se
Neha Sahu 

(Poem / Kavita / Shayari)

www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi
Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords
Like us on Facebook : (Baatien_Kuch_Ankahi_Si)
January | February March | April | May
Poem Collection
Darti nahi main Izhaar karne se,
Darti nahi tumhe Payar karne se.

Darr na hi tumhare hone ka hai,
Darr na hi tumhe khone ka hai.

Darr hai uss hasi Ehsaas ka,
Darr hai uss alag Jazbaat ka.

Darr hai tumhe pane ka,
Darr hai tumse mil jane ka.

Darr nahi tumhare Kareeb aane se,
Darr hai tumse Durr jane se.

Darr nahi hai apni Aankho se,
Darr hai Dard ki aaho se.

Darr nahi tumhari Chuan(Touch) se,
Darr hai kal ki Birhan se.

Darr nahi hai tumhe Apna banane ka,
Darr hai tumhari ho kar Kho jane ka.

Badi mishkil se khud ko Wapis paya hai,
Har hisse par Darr ka saya hai.

Darr nahi hai ye Payar hai mera,
Ek tarfa hi sahi magar Izhaar hai mera.

Darti nahi hu Izhaar karne se,
Darti nahi hu tumhe Payar karne se.

Kyo ki Darr nahi ye Payar hai mera.

written by
Neha Sahu

2018
January Edition | February Edition March Edition | April Edition (Coming this April)



Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Main Aisi Hi Hoon - Neha Sahu

Main Theek Hu - Neha Sahu

Bebas Zindagi - Neha Sahu