Bebas Zindagi - Neha Sahu


Bebas Zindagi
Neha Sahu
(Poem/Kavita/Shyari)


www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi
Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords
Like us on Facebook : (Baatien_Kuch_Ankahi_Si)
January | February March | April | May

Nahi bandhna chahti jis rishte ki zanzeer me,
Kyo likha hai wo meri hi takdeer me,
Jiska khyal bhi mujhe rok deta hai,
Kyo rahu main aisi tasveer me.

Kyo hai ye itne bebuniyadi rishte
aur hai Unki hi apni kahaniya,
Jo chahti hu, main wo kyo nahi dete,
Iss do pal ki zindagi me.

Majburiyo me hi aadhi umar guzaar di hai maine,
Par ab kyo rahu main kisi ki jaagir me.


Apna hi wo kissa banaya hai logo ne mujhe,
Jab jaisa chaha waise apnaya hai logo ne mujhe.
Rahi kaam unke to khoob saraha hai aur
Nakamiyo par meri besahara banaya hai.


Choda bhi nahi mujhe na hi kisi ko thaamne diya,
Itni buri hui kahani meri ki koi na naam diya.
Ae zamane dekh le tune mujhe kitna sataya hai,
Aankh bhar kar aansuo ki hasna seekhaya hai.

Jiske kaam ki na rahi usne peecha chudaya hai,
Deewar ke sheeshe par hi bas ek sath paya hai.

Kabhi Aansu ko na aansu keh saki,
Na hi khushi ka roshan saya hai.

Ae khuda tune mujhe fir kyo banaya hai.

Written by
NEHA SAHU



Our Other Blogs

I am In Books : www.iaminbooks.blogspot.com



www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi


Like us on Facebook : (Baatien_Kuch_Ankahi_Si)
January | February | March | April | May

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Main Theek Hu - Neha Sahu

Main Aisi Hi Hoon - Neha Sahu

Koi Hai Jo Sirf Mera Hai - by Neha Sahu