Meri Kahani - Neha Sahu


Meri Kahani
Neha Sahu 

(Poem / Kavita / Shayari)

www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi
Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords
Like us on Facebook : (Baatien_Kuch_Ankahi_Si)
January | February March | April | May
Poem Collection
Meri zindagi ke har lamhe me likhi hai meri kahani,
Mere dil aur mere labo ki zubani.

Meri zindagi ka har ek lamha mujhse hai kehta,
Ab koi nahi hai teri zindagi me rehta.

Ab na hai zarurat kisi ko teri iss duniya me,
Ab ja kar saja le apna aashiana jannat ki duniya me.

Meri zindagi ka har ek lamha dard bhara hai,
Har ek lamhe me ek naya raaz chupa hai.



Iss naye daur me na waqt samajh saka meri duniya ko,
Umeed ki thi jis se, wo shaksh bhi na samajh saka meri duniya ko.

Meri Aankhon ka har aansu, mujhse yahi kehta hai,
Kon hai iski wajah kya dil me koi rehta hai.

Kya jawab de saku main apni inn aankho ko,
Kai jawab hai inme, sabhi ko batane ko.

Zindagi me jo bhi chaha wo kabhi paya nahi,
Par ab mera dil kuch bhi pana chahta nahi.

Meri zindagi ki kahani bhi bhut ajeeb hai,
Kuch palo me Khushiya to kuch pal mera naseeb hai..

Written by
Neha Sahu
Fb.com/BaatienKuchAnkahiSi


____________________________________



Our Other Blogs

I am In Books : www.iaminbooks.blogspot.com



www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi


Like us on Facebook : (Baatien_Kuch_Ankahi_Si)
January | February | March | April | May

Comments

Popular posts from this blog

Main Aisi Hi Hoon - Neha Sahu

Main Theek Hu - Neha Sahu

Bebas Zindagi - Neha Sahu