Wajah Puchte Hai - Neha Sahu

Wajah Puchte Hai
Neha Sahu
Baatien Kuch Ankahi Si

www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi
Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords
Like us on Facebook : (Baatien_Kuch_Ankahi_Si)
January | February March | April | May
Puchi unhone humari baaton ki wajah,
Thehre se reh gaye hum uss jagah.

Har raat ka hisab jab wo humse maang baithe,
Kuch tha hi nahu humare beech to hum unhe kya kehte?

Humse puchi apne bare me humari raaye,
Ehsaso ke sath hokar kuch nahi hum bol paye.

Itni chup si kyo ho jab wo ye bhi puch baithe,
Wajah tum hi ho iss sab ki jaante hai, par kya kehte?

Unke iss roop ne jab hume choka diya,
Seham gaye hum aur unhe tehra diya.

Bole wo batao kon hu main tumhara,
Ab kya hum bolte jab koi rishta hi nhi tha humara.

Aankho ki nami par jab wo sawal kar baithe,
Uss nami ke sath ho kar ab unhe hum kya kehte?

Fikar karne ki wajah jab wo humse puch baithe,
Kya karoge jaan kar aur ab unhe hum kya kehte?

Yu to har sawal seh gaye unka,
Takleef tab hui jab khud sawal ban baithe.

"Wajah puchti hai, Wajah kya hai?"

Written by
Neha Sahu

Our Other Blogs

I am In Books : www.iaminbooks.blogspot.com



www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi


Like us on Facebook : (Baatien_Kuch_Ankahi_Si)
January | February | March | April | May

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Main Theek Hu - Neha Sahu

Main Aisi Hi Hoon - Neha Sahu

Koi Hai Jo Sirf Mera Hai - by Neha Sahu