JUNE'18 #5 | Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords


JUNE'18 #5 | Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords 

www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi
Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords
Like us on Facebook : (Baatien_Kuch_Ankahi_Si)
January Edition | February Edition March Edition |
April Edition | May Edition | June Edition



Tanhaiyo se baatien karne ki aadat nahi hai mujhe,
Par jab koi apna na ho, to tanhaiya behtar hai..


Unhe humse mohobbat iss kadar thi,
Ke har roz dard dena unki firat ho gai.


Jaise maine tumhari galtiyo ko nazarandaaz karna seekh lia hai,
Waise hi aaj tumhe bhi karne lagi hu.

Yaadon mein meri tum rahoge, ye irada hai,
Lekin iss se zayada kuch nhi, ye mera wada hai.

Khyalo ki duniya bhi kitni ajeeb hai,
Hum payar me mashroof the thumhare..
Aur tumhe waqt guzarana tha..



Adhurepan ki nishani nahi hai meri zindagi ki kitab, 
Bas kuch panne hai jo khali reh gaye hai. 


Tumhe khud se agar alag bhi kia hai,
To ye faisla bhi to tumhari khatir hi liya hai.



Na jane itne khudgarz hum kabse ho gaye,
Ki hum mein bas hum hi hum baki reh gaye.


Kuch khwab hai jo adhure se lagte hai,
Pure kar hi lungi, hakikat me na sahi khwabo me hi sahi.

Yadi wo puch le ek baar humse kiske liye udas ho
Toh phir kis baat ki udasi yadi ek baar wo puch le humse.

Alfaaz to zariya hai do dilo ko milane ka,
Ehsaaso ka dariya to rooh mein basta hai.

Khush nahi hu, Na hi udas hu,
Bas itna jano ke bhut behisab hu.

Aaj usne rulaya hai jisne,
Muskurana seekhaya tha.

Kalam kuch likhna nahi chahti,
Aur zindagi tazurbo se baaz nahi aati..

Kisi ko andar tak kured kar choda hai maine,
Wo shakash bhi kitna bechen hoga na?


Humne kuch khaas to shyad manga nahi tha tumse,
Tumne raha saha bhi sab khatam kar diya.


Insaan puri duniya ko samajh sakta hai,
Bas apne aap ko nahi.

Meri har galti ki saza de mujhe,
Par galti kya hai meri ye bata de mujhe.

Apni nazro se kahiye zara adab se pesh aaye,
Mehfil me hum jaise ashiq aur bhi hai.

Ye to humari aankhe hai jo wafa kar gai,
Warna humare jazbaato ne to hume kahi ka nahi choda.


Aahista chalane se bhi aksar hum rishto ko nahi bacha pate,
Jo tutna hota hai toot hi jata hai.


Zindagi ke dardo se mujhe kuch khaas shikayat nahi, 
Dard aur marz ka rishta purana hai. 










Our Other Blogs

I am In Books : www.iaminbooks.blogspot.com



www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi



Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Main Aisi Hi Hoon - Neha Sahu

Main Theek Hu - Neha Sahu

Bebas Zindagi - Neha Sahu