Koi Hai Jo Sirf Mera Hai - by Neha Sahu


Koi Hai Jo Sirf Mera Hai
Neha Sahu 

Haan to baat kuch yu hai, ke koi hai jo sirf mera hai,
Kisi ke dil ka ehsaas hai, itna khaas hai ke wo sirf mera hai.

Hai wo ek nai si dhun meri, wo hi hai alfazo ka dariya,
Dhal rahi hu usme main, aur wo ban raha hai jeene ka zariya.

Wo salika hai Mehfilo ka, aur main sadko ka shor hu,
Wo hai ek Samundar ki tarah, jisme main Vibhor hu.



Wo teahra hua sa saaz hai, kisi ke mann ka raag hai,
Main ek lehar hu, uske liye bas sehaj hu.

Wo aankho ka pani hai, honto ko muskaan hai aur baato ki jaan hai,
Wo nishani hai ravani hai, aur meri sabse payari kahani hai.

Wo aaj hai, kal hai aur zindagi ka har pal hai,
Wo zakhm hai, marham hai aur surili sargam hai.

Mom hai kabhi, to kabhi kathor hai,
Bandhe hai hum dono jisme, wo wahi sunehari dor hai.

Wo saathi hai, rahi hai aur manzil bhi wahi hai,
Mere yaha hone ki wajah bhi wahi hai.

Wo kasam hai, wada hai, sath jeene ka iraada hai,
Haan to baat kuch yu hai ke,
Main hu uski, aur wo sirf mera hai.

Written by
Neha Sahu
#BaatienKuchAnkahiSi



Our Other Blogs

I am In Books : www.iaminbooks.blogspot.com



www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi



Comments

Popular posts from this blog

Main Theek Hu - Neha Sahu

Main Aisi Hi Hoon - Neha Sahu