Tum Meri Kavitaon Mein Baste Ho by Neha Sahu


Tum Meri Kavitaon Mein Baste Ho
Neha Sahu

www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi
Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords
Like us on Facebook : (Baatien_Kuch_Ankahi_Si)
January Edition | February Edition March Edition |
April Edition | May Edition | June Edition

>> Check the Poem Collection Here <<

Tum Meri Kavitaon Mein Baste Ho,
Kabhi yaad ban kar, kabhi meri chah ban kar,
Sunte ho samajhte ho, mere shabdo ki raah ban kar.

Nahi chahti main ek anchaha sa sath tumhara,
Darpan dekhu main aur bandh jaye hath humara.
Kyo ki Tum Meri Kavitaon Mein Baste Ho


Uss roz se jab maine pehli dafa likha tha
Tumhare like sirf tumhare liye.

Tumhe chahne ke liye mujhe zarurat nahi tumse baat karne ki,
Zarurat hai to bas ehsas ban ke rehne ki.
Kyoki Tum Meri Kavitaon Mein Baste Ho

Chahte ho sath par kehte nahi lafzo mein,
Kadmo ki hai aahat par, sunte nahi shabdo me.

Nahi chuno tum mujhe nahi chuno na hi main chunungi tumko,
Kyoki ek hissa hai jo mera hi hai,

Tum mujhe shabdo ki mala se ek sunheri kahani mein milte ho
Tum meri kahani me baste ho,
Tum Meri Kavitaon Mein Baste Ho

Written by
NEHA SAHU
#BaatienKuchAnkahiSi



Our Other Blogs

I am In Books : www.iaminbooks.blogspot.com



www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi


Comments

Popular posts from this blog

Main Theek Hu - Neha Sahu

Main Aisi Hi Hoon - Neha Sahu

Koi Hai Jo Sirf Mera Hai - by Neha Sahu