Beeti Yaadien - Neha Sahu

Beeti Yaadien
Neha Sahu 

www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi

Har dil me koi na koi yaadien hoti hai
Jo khul hi jati hai kisi na kisi bahane se

Gar koi kehta hai wo raaz purana hai
Mujhe farak nahi uss se wo ek beeta zamana hai

Jhut nahi kehti zubaa, na jhuta wo raaz lagta hai
Phir bhi anchahe se mann me ek kona usko milta hai.

Kai baar apne mann ko rok hi leta hai
Ek chota sa jazbaat hai, jo ab tak tumse milta hai.


Kehne ko to wo bas ek lamhaat hota hai,
Phir bhi na jane kyo mann ye udas hota hai.

Kehta hai jab har koi, wo khyal purana lagta hai,
Phir bhi na jane kyo, wo mizaz humara lagta hai.

Yu to uss har sach ko jhuta karna chahta hai ye mera mann,
Phir bhi uss raat ka kya jo khwab tumhara rakhta hai.

"Yu to har lamhaat purana lagta hai,
Phir bhi mere dil me hai kuch jo Suhana Lagta Hai."

Written By
Neha Sahu

BaatienKuchAnkahiSi 
 BaatienKuchAnkahiSi

Our Other Blogs

I am In Books : www.iaminbooks.blogspot.com



www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi




Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Main Aisi Hi Hoon - Neha Sahu

Main Theek Hu - Neha Sahu

Bebas Zindagi - Neha Sahu