O Kalam - Neha Sahu


O Kalam... 
Neha Sahu

Poem Collection Written by 
NEHA SAHU

 Neha Sahu Youtube


www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi
Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords
Like us on Facebook : (Baatien_Kuch_Ankahi_Si)
January | February March | April | May



Ke kuch likha nahi hai ek arse se,
Chain hai kuch zayada hi,
Ya bechain hu kal parso se,

Sehej ho rahi hai zindagi,
Ya beh rahi hu barso se.
Kya hua hai aisa
Jo likha nahi hai arso se.

Garam chai ki payali rakh kar,
Baithi hu chain ki talaash mein,
Hath mein kalam se sath,
Basi rahi jab lamho se.


Sparsh tumhara aisa hai,
Ke dhaal bani tum meri har pal.
Par aaj aisa kya hu,
Jo chua nahi mujhe barso se.

Ek waqt bhi nikal chuka hai,
Shabdo ki talaash mein,
Bas yahi rishta rakhti ho,
Tum mujhse ek riwaz mein.

Thami nahi hu main,
Na hi tehraya hai maine khud ko.
O kalam ab to bata
Kyo udas ho tum arso se.

Rihayat main nahi chahti,
Kyo ki sakoon deti hai
Teri qaid mujhe.
Isi qaid mein chali hu main
Kai purane barso se.

O kalam, ab udasi chod kar,
Tham le firse mujhe.
Ke main chahti hu,
Sirf tujhe hi barso se.

Written by
Neha Sahu



Our Other Blogs

I am In Books : www.iaminbooks.blogspot.com



www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi


Like us on Facebook : (Baatien_Kuch_Ankahi_SiJanuary | February March | April | May


Comments

Popular posts from this blog

Main Theek Hu - Neha Sahu

Main Aisi Hi Hoon - Neha Sahu

Koi Hai Jo Sirf Mera Hai - by Neha Sahu