Ja Rahe Ho To Beshak Jao - Neha Sahu



Ja Rahe Ho To Beshak Jao
Neha Sahu

www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi

Ja Rahe Ho To Beshak Jao
Magar kuch guftagu hai jo karni zaruri hai.
Kuch ankahi, ansuni baatien hai jo sawarni zaruri hai.

Bade beraham dil se jo dil ke faisle tumne ek pal mein kar daale,
Unn mulakato ka kya jo tumse karna zaruri hai.

Mahaz ek din ki chand baaton ko apna aham bana liya tumne,
Na thi galatiya meri phir bhi mujhe kyo inaam diya tumne.

Utha diya mujhko uss madhoshi ke aalam se,
Aur kar diya tanha phir khushi ke aalam se.

Unn palo ki garmahat ko le hi jana sath,
Jo sambhali thi maine sandook ke sath,
Darmiya humare na koi khawaish ab rahi hai,
shikwe bhi khatam, ab na koi shikayat bachi hai.

Tod chuke ho tum unn saari doro ko sire se,
Ek purane waqt se jisse hum bandhe the.

Farak mere sath ka kuch zayada shyad tumko pada hi nahi,
Hum hi the bekhauf shyad tumko to asar hua nahi.

Galatfehmi si lagti hai tumhara badla mijaz,
Kisi par itna Aitbaar bhi accha nahi hota.

Written by
NEHA SAHU
#BaatienKuchAnkahiSi





Our Other Blogs



www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Main Theek Hu - Neha Sahu

Main Aisi Hi Hoon - Neha Sahu

Koi Hai Jo Sirf Mera Hai - by Neha Sahu