May'18 #5 | Baatien Kuch Ankahi Si | Unspoken Words


May'18 #5 | Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords



www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi
Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords
Like us on Facebook : (Baatien_Kuch_Ankahi_Si)
>> Check the Poem Collection Here <


Khata na meri hai, Na tumhari,

Bas, ye bhi ek waqt hai, aur wo bhi ek waqt tha.. 

Ek baat bolu
Kisi se baat na karne ka matlab ye nahi hota
Ke aap use bhool chuke hai... 


Yu to khayal se bhi mere khyal me tera khyal nahi aaya,
Par inn yaadon ka kya karu, 
Jo mere khayal mein bhi mere khyal se jati nahi. 


Tumhari yaadon ko aaj bhi taaza rakha hai maine,
Bekhabar hu par bewafa nahi hu. 

Tum mujhe zindagi ke har pahlu mein milo na milo,
Tumhare sath guzara hua kuch waqt hi kafi hai mere liye. 

Apne dil ke har ehsaas ko aise daba liya hai humne, 
Jaise khud se hi bewafai kar rahe ho hum.


Uss awaz ko mita bhi doge yaadon se,
Par jo rooh se judi hai, uss daastan ka kya khyal hai. 

Kitne masroof the hum payar me tumhare,
Hum girte chale gaye aur tumne sambhalna seekh liya... 


Uss pal ki garmahat mujhe ab bhi naya sa karti hai,
Jab hum pehli dafa mile the..


Saude to hum bhi kar hi sakte the payar mein apke, 
Par suna hai payar saude aur sharto se nahi milta.


Meri zindagi ke kuch usool hai, 
Jinko tumne samjha nahi,
Aur samjhota karna meri adat nahi
Hoton ko Khush karne ke liye sirf lafaz kafi hai.
Lekin Dil ko Khush karn eke liye Rooh chahiye.
Kehni thi kuch ankahi,
Jo lafzo se mere na hui bayaan,
Wo rooh se apni to puch hi sakte the tum. 

Zindagi me kuch cheeze aise tutti hai, 
Ki unka dobara judna namumkin hota hai. 



Dard ne aaj hume chua to maloom hua,
Kitna mushkil hota hai
Dard me rehna, sehna aur khana..





Our Other Blogs

I am In Books : www.iaminbooks.blogspot.com



www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi

Comments

Popular posts from this blog

Main Theek Hu - Neha Sahu

Main Aisi Hi Hoon - Neha Sahu

Wajah Puchte Hai - Neha Sahu