Meri Mala Ke Moti - Neha Sahu


Meri Mala Ke Moti... 
Neha Sahu
(मेरी माला के मोती) 

Poem Collection Written by 
NEHA SAHU

 Neha Sahu Youtube


www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi
Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords
Like us on Facebook : (Baatien_Kuch_Ankahi_Si)
January | February March | April | May




Chune the maine kai moti, meri mala ke liye, 
Sab alag se dhang me the, meri mala ke liye. 

Har rang har aakaar ka rishta maine kal chuna tha, 
Apne rang aakaar me la kar maine unhe buna tha. 

Har ek rishte ko bandha tha maine ek hi dor se, 
Ek chor aashaye thi meri, dusri chor par log the. 

Yu to aashaon ka bandhna logo ka vahavyhar hai, 
Aashaon ka tutna bhi iss duniya ka aakaar hai. 

Kehte hai jo tut jaye wo judta nahi hai, 
Tuti hui baaton ko mann sunta bhi nahi hai. 

Mann ki baaton me hi aa kar aaj yaha fasi hu, 
Saari duniya sath hai mere fir bhi main nahi hu. 

Gum ho gai hai shyad kahi ja kar wo meri parchai, 
Jiski chap kal tak mere mann par thi chaai. 

Komalta chai thi mere nirmal mann ke pass, 
Aaj khud ko kathin jaan kar hui hu bhut udas. 

Udasia hai hath mere, zindagi khush nahi hai, 
Na bachi hai mala meri, aur moti bhi nahi hai. 


Written by
Neha Sahu



Our Other Blogs

I am In Books : www.iaminbooks.blogspot.com



www.facebook.com/BaatienKuchAnkahiSi


Like us on Facebook : (Baatien_Kuch_Ankahi_SiJanuary | February March | April | May


Comments

Popular posts from this blog

Main Theek Hu - Neha Sahu

Main Aisi Hi Hoon - Neha Sahu

Koi Hai Jo Sirf Mera Hai - by Neha Sahu