Posts

Showing posts from May, 2018

Koi Mila Apna Sa - Neha Sahu

Image
Koi Mila Apna Sa Neha Sahu  Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords Like us on Facebook : ( Baatien_Kuch_Ankahi_Si ) January Edition  |  February Edition   |  March Edition  | April Edition  |  May Edition  |  June Edition >> Check the Poem Collection Here << Mila hai ek aisa rishta, Jo lagta hai bilkul mere jaisa. Main hu jaisi waisa hi hai wo, Khush rehti hu to hasta hai wo. Bina kahe har baat, har ehsaas jaan jata hai Bas ek wo hi hai, jo har sach jaan jata hai. Samaye abhi sath humne nahi bitaya hai, Phir bhi ye rishta lagta sadiyo ka saya hai. Na mili hu uss se na dekha hai kabhi saamne, Phir bhi lagta hai nazro ke bilkul saamne. Apni parchai se milne ka ehsaas hai wo, Jaisa meri soch mein tha, bas waisa hi hai wo. Wo mujhe meri shakshiyat se hi milta hai, Soch samajh se kitna kareeb hai hum dono batata hai. Ajnabi sa sath hum dono ko mil gaya hai Ek pal me hi zindagi ka kal sawar gaya hai. Written by Neha Sahu #BaatienK

Ja Rahe Ho To Beshak Jao - Neha Sahu

Image
Ja Rahe Ho To Beshak Jao Neha Sahu Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords Like us on Facebook : ( Baatien_Kuch_Ankahi_Si ) January Edition  |  February Edition   |  March Edition  | April Edition | May Edition | June Edition >> Check the Poem Collection Here << Ja Rahe Ho To Beshak Jao Magar kuch guftagu hai jo karni zaruri hai. Kuch ankahi, ansuni baatien hai jo sawarni zaruri hai. Bade beraham dil se jo dil ke faisle tumne ek pal mein kar daale, Unn mulakato ka kya jo tumse karna zaruri hai. Mahaz ek din ki chand baaton ko apna aham bana liya tumne, Na thi galatiya meri phir bhi mujhe kyo inaam diya tumne. Utha diya mujhko uss madhoshi ke aalam se, Aur kar diya tanha phir khushi ke aalam se. Unn palo ki garmahat ko le hi jana sath, Jo sambhali thi maine sandook ke sath, Darmiya humare na koi khawaish ab rahi hai, shikwe bhi khatam, ab na koi shikayat bachi hai. Tod chuke ho tum unn saari doro ko sire se, Ek purane waqt se jisse

Tum Meri Kavitaon Mein Baste Ho by Neha Sahu

Image
Tum Meri Kavitaon Mein Baste Ho Neha Sahu Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords Like us on Facebook : ( Baatien_Kuch_Ankahi_Si ) January Edition  |  February Edition   |  March Edition  | April Edition | May Edition | June Edition >> Check the Poem Collection Here << Tum Meri Kavitaon Mein Baste Ho, Kabhi yaad ban kar, kabhi meri chah ban kar, Sunte ho samajhte ho, mere shabdo ki raah ban kar. Nahi chahti main ek anchaha sa sath tumhara, Darpan dekhu main aur bandh jaye hath humara. Kyo ki Tum Meri Kavitaon Mein Baste Ho Uss roz se jab maine pehli dafa likha tha Tumhare like sirf tumhare liye. Tumhe chahne ke liye mujhe zarurat nahi tumse baat karne ki, Zarurat hai to bas ehsas ban ke rehne ki. Kyoki Tum Meri Kavitaon Mein Baste Ho Chahte ho sath par kehte nahi lafzo mein, Kadmo ki hai aahat par, sunte nahi shabdo me. Nahi chuno tum mujhe nahi chuno na hi main chunungi tumko, Kyoki ek hissa hai jo mera hi hai, Tum mujhe shabdo ki ma

JUNE'18 #5 | Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords

Image
JUNE'18 #5 | Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords  Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords Like us on Facebook : ( Baatien_Kuch_Ankahi_Si ) January Edition  |  February Edition   |  March Edition  | April Edition | May Edition | June Edition >> Check the Poem Collection Here << Tanhaiyo se baatien karne ki aadat nahi hai mujhe, Par jab koi apna na ho, to tanhaiya behtar hai.. Unhe humse mohobbat iss kadar thi, Ke har roz dard dena unki firat ho gai. Jaise maine tumhari galtiyo ko nazarandaaz karna seekh lia hai, Waise hi aaj tumhe bhi karne lagi hu. Yaadon mein meri tum rahoge, ye irada hai, Lekin iss se zayada kuch nhi, ye mera wada hai. Khyalo ki duniya bhi kitni ajeeb hai, Hum payar me mashroof the thumhare.. Aur tumhe waqt guzarana tha.. Adhurepan ki nishani nahi hai meri zindagi ki kitab,  Bas kuch panne hai jo khali reh gaye hai.  Tumhe khud se agar alag bhi kia hai, To ye faisla bhi to tumhari kha

Main Theek Hu - Neha Sahu

Image
Main Theek Hu Neha Sahu  (Poem / Kavita / Shyari) (Poem / Kavita / Shayari) Baatien Kuch Ankahi Si | UnspokenWords Like us on Facebook : ( Baatien_Kuch_Ankahi_Si ) January Edition  |  February Edition   |  March Edition  | April Edition | May Edition | June Edition >> Check the Poem Collection Here << Main Theek Hu Haal puchega jab koi toh bol dungi Main theek hu. Seekha hai naya kuch, aur ussi hal mein theek hu. Jaani kuch bate tumhari, Aur ussi halaat mein theek hu. Kaho to bata hi du, iss lamhat mein kitni dheeth hun.. Dheeth hu Jo sah gai aur kuch na tumse keh gai. Khush nahi hu, Na hi udas hu, Bas itna jaano ke bahut behisab hu. Sehla rahi hu khud ko, aur samjhane me bhut nayab hu. Darasal tumse hi suni thi, Tumse hi kah rahi hu. Kamal ho tum aise hi Tum bemisal ho. Sach kahu, jhoot bhi nhi lag rha ye sab na hi ye sach hai... Marzi tumhari hai, ya meri. Par ye bhi to ek waqt hai. Suna hai guzar jaega ye bhi har waqt  ki tara